Pehli type ki memory wo hoti hai jo ki data ko store kar ke rakh sakti hai jab wo working me ya Power se judi nahi hai, jaise ki hamari Pen Drive, Internal Memory ya Hard Disk. Ise hum Physical Storage bhi kehte hai.
Doosri type ki memory hoti hai jisme se Power hatate hi poora data khatam ho jata hai, is memory ko RAM kehte hai.
Humare mobile/laptop me ek aur part hota hai processor aapne suna hoga – Dual Core, Quad Core. Processor dimag ki tarha hota hai, ye hi control karta hai ki konsi cheez kaha se utha kar, kaise chalani hai. Lekin processor sirf unhi cheezo ko chala sakta hai jo RAM me hoti hai.
Generally RAM kam hoti hai aur Internal Memory usse kahi guna zada. Jab aap koi App chalate hai to wo aapki App mobile ki Internal Memory se RAM me transfer hoti hai aur phir RAM me jaakar processor dwara chalai jati hai.
Mai aapko RAM aur Hard Disk kaise kaam karta hai usko 2 boxes lekar samjhata hun. Ek Mobile ke example lete hai.
1. Abhi mobile switch OFF hai. To RAM me koi power nahi jaa rahi isliye wo khali padhi hai. Aur sabhi apps ka data internal memory me hai.
2. Jaise hi aapne mobile ko ONkiya to aapka OS yani ki Kitkat ya Lolipop load ho gaya, ye isliye load hua kyoki poora system ispar hi chalta hai. Aur sath hijaroori apps jaise ki Phone Calling bhi load ho gaya.
Yahi karaan hai ki jab aap apne mobile par koi bhi App nahi chala rahe hote aur aapki RAM phir bhi use ho rahi hoti hai.
3. Ab jab aap apne mobile par koi aur App kholte hai to wo bhi RAM me chali jaati hai. 4-5 Apps chalane ke baad RAM lagbhag Full ho chuki hai.
4. RAM ke full hone ke baad agar aap koi aur App chalate hai, to wo us App ki jagha banane ke liye kisi aur App ko wapas Internal Memory me bhej deti hai.
5. Aap dekh sakte hai ki RAM kam hone ki wajha se ek App ko chalane ke liye hume doosri App ko wapas bhejna padha, is aage peeche bhejne se hamare mobile ki speed slow hoti hai. Aur jitnibadi RAM hogi utni hi zada Apps ko hamara mobile ek sath bina atke/ruke chala sakta hai.
Mujhe ummid hai Ki Ye Post Aapko Achcha Laga Aur Aise Hi Mai Rose ek na ek chij post krta rahunga.
Thanks😁